Tumhe lakho ki bheed me pechanta hai koi


Tumhe lakho ki bheed me pechanta hai koi,
din raat khuda se tumhe mangta hai koi,
tum khud se vakif nahi honge itne,
tumhe tumse bhi jyada janta hai koi.

Aakash ke tarron me khoya haijahan saara,
lagta hai pyara har ek-ek taara,
un tarron me sabse pyaara hai ek sitara,
jo is wakt padh raha hai mail humara.

Kisi ko mil jati hai rangeen baharen,
kisi ko chaman nahi milta,
kisi ke kabar par banta hai Tajmahal,
aur kisi ko kafan nahi milta.

jakham itne gehre hai izhar kya karen,
Hum khud nisana ban gaye hai waar kya karen,
mar gaye hum magar khuli rahi aakhe,
ab is se jyada unka intjaar kya karen.

Read more

ab kadmon ki ahat sunai nahi deti


ab kadmon ki ahat sunai nahi deti
tujhse milne ki umeed dikhai nahi deti

kaise behlaon ab is dil ko main
teri sada mujhe kahin sunai nahi deti

khabar hui ki tu roya bahut aise
rawayat e firak kahin dikhai nahi deti

tu gaya to raunaken hi rooth gayee
chirag hai magar roshini dikhai nahi deti

wahi manjar ab bhi bulata hai humen magar
masti mein doobi wo gali dikhai nahi deti

wo bhatakna dopehar mein tera mera
chup kar pukarne ki sada ab sunai nahi deti

khatayen sabhi batakar nadaniyan bhola dena sabka
bachpan ki wo beparwah ghadi dikhai nahi deti

tumhare saath gujre lamhon ki kitaab hai khushboo
rudad e mahobbat gum e jindagi ki safai  nahi deti
Read more

ALWIDA DOSTON


jo chale gaye in makano galiyon virano se
aayenge nahi wo kabhi laut ke ab tumhari ajano se

nikalen hain wo dhondhne ek basti nayee
phir asman hoga naya ej zameen nayee

ek ek karke sabko hai jana 
tum bhi samaan bandhke tayyar ho jana

nayee basti mein hogi roshni beshumaar
koi hoga na dukhi na phir koi bimaar

kar lo tassali mar mar ke jeene ki
phir aaye na aaye ritu chak jigar seene ki

wahan tumhen milegi dua bhi dawa bhi
bhool na jana katra o gum jara bhi

chod do banane rishte do ghadi ke liye
bacha lo ehsaas kuch wahan sajane ke liye

is fareb aur tanhai se milegi wahin nijaat
wahan admi hoga admi,koi poochega nahi jaat

yahan kiski khatir ab tum bekaar
khushboo dekho kar rahe hain wo humara intejaar

ALWIDA DOSTON
Read more

Lout aoo


"kuch yadain dil per jum jati hain
jinhy nah barish ka pani mita sakta hai
na hi uonhy hawa ka zoor doour laiy ja
sakta hai
nah yee kisi terha hawa mai tahleel
ho sakti hain
nah mai inhe khurach ker
nikl sakti hain
aaisi hi ek yaad mery dil per hai
woh ekpal jisme humne dunya ji li
woh lamha amer ho chuka hai
lakin
aaj bhi tumhary doour hone ka sadma kam nahi hota
sunno ek baatkahni hai
lout ao
lout ao
Read more

wel wisher


  «•´¨*•.¸¸.*¤~* *~¤*.¸¸.•*¨`•»
wel wisher 
  *(¨`••´¨)*
Abdul Rehman
  `•.¸.•´
Remember Me In Ur Prays
Read more